Saturday, January 14, 2012

Islam kis Chez ka naam hay. (Article in Roman Urdu)

ajj kal k Mahol main, ham nay Islam ko koi  Khass ahmeat nai di hoi. ore Ham Muslamano k Qirdar say Islam ko Bohat Noqsan hoa hay. Hum na... thumbnail 1 summary
ajj kal k Mahol main, ham nay Islam ko koi  Khass ahmeat nai di hoi. ore Ham Muslamano k Qirdar say Islam ko Bohat Noqsan hoa hay. Hum nay har us Chez ko Deen Islam Samjh liay jo Molvi nay Kah dia. Ham nay Kud Tahkeeq karna Chor di. Hamain Chahiay k Ham Deen k baray main Ziyada say Ziyada Elam Hasil karan.
Deen Islam Asal main 2 Chezon ka Naam hay.
1. Quran.
2. Sahi Hadith.
iss k Elawa tesri koi Chez Deen nahi Ho Sakti.
aj kal ham nay deen ko jitni ahmiat di hay. wo hum sab jantay han. hum bazar main shopping k liay jaen to her chez k rates poch kar or achi tarhan say Chan been kar k wo chez latay han. lakin hum nay deen ko itni kam wokat di hay k deen jahan say mila lay lia. hum deen k baray main itni tahqeeq bi nai kartay k Akhir jo yeh molvi sab bata rahay han wo deen bi hay ya nai. hamain har chez ko Quran ore Hadith per rakh k dakhna chahiay k yeh deen bi hay ya nai.
Ajj tak hamain yeh nahi pata k hum jis tarhan namaz parhtay han kiya yeh namaz Quran wa Hadith k mutabik hay ya nai. jis nay jo kuch waldan say hasil kiya os nay osi ko Deen samjh lia. Iss ki Asal waja hi yeh hay k hum nay deen ko bohat mamoli si Chez samjh liay ha. ore Deen Islam k baray main hum nay Sochna ore Tahqeek karna chor dia hay.
Ore hamari Nejat ka Zarea bi Quran wa Hadith hay. agar hum Quran wa hadith ko mazboti say Pakray Rakhan gay to Hum Musalmano ko koi bi Gumrah nai kar sakta.
Musalmano ki Azeem jamat jo k Sahaba(R.A) ki hay un k samnay bi sirf 2 hi Chezan then ak Quran ore Dosri Nabi (S.A.W) ki Sunnat (Hadith). in dono chezon ko pakar kar Sahaba Azeem hoay. Hum bi apni Duniya ore Akhrat ko Sanwar saktay han in 2 Chezon ko pakar kar.

No comments

Post a Comment