Saturday, June 9, 2012

Insan ka Akhri Anjam

Duniaya k ay Musafir Manzil tari Qabar hay, Tay kar raha hay jo to wo din ka yeh safar hay, jab say bani hay yeh duniya, Lakhaon karoron ... thumbnail 1 summary
Duniaya k ay Musafir Manzil tari Qabar hay,
Tay kar raha hay jo to wo din ka yeh safar hay,
jab say bani hay yeh duniya, Lakhaon karoron aay,
baqi raha na koi, matti main sab samaay
iss bate ko na bholo, sab ka yehi Hashr hay,
Duniaya k ay Musafir Manzil tari Qabar hay,
Ankhon say to nay apnay kitnay janazay dakhay,
haton say to nay apnay kitnay dafnay murday,
Anjam say to apnay Kiun itna bay Khabr hay?
Duniaya k ay Musafir Manzil tari Qabar hay,
yeh unchay unchay mahel kuch kam k nahi han,
yeh aali shan banglay kuch kaam k nahi han,
2 gaz zamen ka tokra chota sa tara makan hay,
Duniaya k ay Musafir Manzil tari Qabar hay,



No comments

Post a Comment